admin
Admin
|
# Posted: 30 Dec 2009 06:06
Reply
Zindagi ka Wajood in 4 Anasir pr hai. Pani, Aag, Hawa, Mitti
PANI Gham-e-HUSSAIN Mai Behne ka hai Sabab, Karte hain Log AAG pe Matam Basad Adab, Nohay ki har Sada pe HAWAIEN hain Muztarab, Farsh-e-Aza bhi KHAK pe Bichta hai Roz-o-Shab, Chaaron pe Raj hai tu SHAH-E-MASHRQAIN ka, Dar Asal Zindagi pe hai Qabza HUSSAIN ka. __________________________________________
Hussain (a.s. ) ne Kya Khub Sajaya Jahaan Mitti Ka, Yakeen se bhi Uchaa hai Gumaan hai Mitti Ka, Ajab Zameen hai ye Dashte Karbala Jisme, Zameen Noor ki hai Aasman Mitti Ka.
|