admin
Admin
|
# Posted: 26 Dec 2009 20:38
Reply
Inkaar Aasma'n ko hai raazi zamee'n nahi, Asgar tumhare khoon ka thikana kahi nahi Neza-o-khanjar-o-shamsheer kahan ladte hain Jazbe ladte hain fakat, teer kahan ladte hain Karbala jung nahi, maula hai har jungo ki
Warna hanste hue besheer kahan ladte hain
Asgar tumhara khoon jo girta zameen par, Rahti zameen koi na rehta zameen par, Jati jo tere khoon ki garmi sue Falak, Suraj pighal - pighal ke tapakta zameen par
Ashares on Maula Abbas:
Hum Husaini hai hamari zindagi Abbas (as) hai, Karbala wale Mohammad (as) ka Ali (as) Abbas (as) hai, Aur sabse aage sab juluson me hai Panja daleel, Shahedin ka pehla matami Abbas (as) hai. Na zarorat talwar ki na kisi hatiyar ki, 1 dua thi KARBALA mai ABBAS ALAMDAR ki, koi dila dey ijazat AQA HUSSAN se, yaad dila dunga jung HAIDER-E-KARAR ki
Mai Kya Batau ke kya kya mere Husein (as) ka hai Har ek shai hai Khuda ki, Khuda Husein (as) ka hai
|